tera khayal ki khwabon mein jin se hai khushbu wo khwab jin mein mera paikar-e-khayal hai tu sata rahi hain mujhe bachpane ki kuchh yaaden wo garmiyon ke shab-o-roz dopahar ki wo lu pachas sal ki yaadon ke naqsh aur naqshe wo koi nisf sadi qabl ka zamana-e-hu wo garm-o-khushk mahine wo jeth wo baisakh ki hafize mein kabhi aah hain kabhi aansu wo zaen zaen ke kitne muhib zanate? faza ka haul hawa ki wo wahshaten har su wo saen saen ke kitne ajib sannate? wo sansani wo pur-asrar ek aalam-e-hu wo dopahar wo habude wo sengi bai kut faza-e-shoala-bajaan o hawa-e-atish-e-khu wo khidkiyon mein hawaon ki sar-kashi tundi wo baam-o-dar pe musallat jahannami jadu wo pech-o-tab bagulon ka mere aangan main chudelen ghar mein ghus aai hain khaul kar gesu wo lu ka zor ki sare kiwad bajte hain ki jaise lashkar-e-jinnat ka amal har su wo shor jaise bagulon mein bhut hon raqsan wo qah-qah wo ha-ha wo honk wo hu-hu guzar raha hai tasawwur se jeth ka mausam aur is samay mein mujhe yaad aa raha hai tu