tera kya jata jo milta jam-e-rehani mujhe mai ke badle saqiya tu ne diya pani mujhe mai-gusari mein wo ab pahli si kaifiyyat nahin de diya saqi ne kya be-kaif sa pani mujhe ab kisi mashrub se dil chain pa sakta nahin kash wo aa ke pila de tegh ka pani mujhe de diya saqi ne bhar kar mujh ko bhi jam-e-sharab main to kahta hi raha pani mujhe pani mujhe us ko jaanun yar mukhlis us ko manun gham-gusar jo pila de ranj mein kulfat-ruba pani mujhe chal padin sansen dhadakne lag gain nabz-e-hayat kya kisi ne de diya angur ka pani mujhe wo tap-e-gham hai ki sukhe hain lab-o-kaam-o-dahan kash aa kar wo pilaen did ka pani mujhe pi raha hun shauq se ai 'raaz' jis ko aaj tak ek din aakhir dubo dega wahi pani mujhe