tera maqam zamane mein yun nirala tha ki tu hamare liye har kisi se aala tha kisi ne khwab se mujh ko jaga diya warna main apne aap se aage nikalne wala tha bahut gharib the kachcha makan chhappar tha ki phir bhi abba ne nazon se hum ko pala tha mujhe pata tha main teri hatheliyon mein hun teri khushi ke liye toss phir uchhaala tha wo kah raha tha ki mahbub kyon nahin us mein phir us ne ghusse mein aaina tod dala tha