tera mizaj takabbur ka shakhsana tha talluqat ka manzar badal hi jaana tha gae the hum bhi faqat rasm hi nibhane ko aur us ka tarz-e-amal bhi mukhasamana tha kisi ke unche dar-o-baam mohtaram the magar hamein hawa ke liye rasta banana tha ye khak bughz-o-adawat se pak rakhni thi zamin-e-dil pe shajar pyar ka ugana tha main jaanta hun use mujh pe e'tibar na tha agarche mere gawahon mein ek zamana tha ye tu ne tark-e-marasim ki baat kyon chhedi hamein to yun bhi tera shahar chhod jaana tha kai charagh munderon pe jal bujhe 'anwar' use na aana tha shayad use na aana tha