tera wahshi kuchh aage hai junun-e-fitna-saman se kahin dast-o-gareban ho na aabaadi bayaban se ilahi jazba-e-dil ka asar itna na ho un par pareshan wo na ho jaen mere haal-e-pareshan se qayamat hai wo aae aur aate hi hue wapas ye aasar-e-sahar paida hue sham-e-ghariban se nazar wale samajh jaen na arsh-o-farsh ki nisbat tera daman na chhu jae kahin mere gareban se uruj-e-josh-e-wahshat 'sehr' hai ye roz-e-raushan mein nazar aate hain tare rauzan-e-diwar-e-zindan se