tere baghair hi ji lun irada tha pahle

tere baghair hi ji lun irada tha pahle
zara ye soch ki main kitna sada tha pahle

isi zamin ne diye jaur ke jalae bahut
isi zamin se talluq ziyaada tha pahle

sitare lene lage meri bekali ka hisab
ye kaisi rah pe main istada tha pahle

isi makan mein ghutan ho rahi hai ab mahsus
yahi makan bahut hi kushada tha pahle

wo ek baat jo bais hui talluq ki
us ek baat ka karna iada tha pahle

mohabbaton ke diye main jala ke so jaun
mera khayal nahin ye irada tha pahle

chamak-damak wo meri apne sath le ke gaya
chamakta jism damakta labaada tha pahle

'farid' karta tayyun main kaise raste ka
na manzilen thin yahan aur na jada tha pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close