tere baghair sukun-o-qarar ko tarse

tere baghair sukun-o-qarar ko tarse
bahaar mein bhi hum apni bahaar ko tarse

mila na chain kisi kal unhen bhi tadpa kar
qarar chhin ke wo bhi qarar ko tarse

wo samne the magar chashm-e-shauq uth na saki
dam-e-visal bhi didar-e-yar ko tarse

tamam zindagi guzri thi aish se jin ki
wo baad-e-marg charagh-e-mazar ko tarse

bas ek nazar unhen dekha to ye saza pai
ki umr bhar ke liye hum qarar ko tarse

kiya na wasl ka wada bhi us sitamgar ne
tamam umr shab-e-intizar ko tarse

kuchh aisi be-khudi chhai thi gham ki ai 'sahir'
ki hum sharab bhi pi kar khumar ko tarse


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close