tere banae ko bar-e-digar banate hue

tere banae ko bar-e-digar banate hue
main thak gaya hun darichon ko dar banate hue

tujhe khabar nahin guzre kis imtihan se hum
teri shabih tujhe dekh kar banate hue

pas-e-hayat dikhate ho ek nai duniya
lagegi der idhar ko udhar banate hue

kabhi zamin pe kitni zamin hoti thi
wo sochta hai samundar mein ghar banate hue

ai dar-e-kham zara dekh kaisi pathrai
meri nigah tujhe beshtar banate hue

zamin chir gai aasman pe hawi hui
ye meri aankh nazar ko nazar banate hue

mukalme mein zaban ladkhadane lagti hai
pa-e-darogh agar ko magar banate hue

khuda ke but pe ye qasdan nahin mera chehra
bahak gaya tha zara hath sar banate hue

wo naqsh-gar tha parindon ka aur phir ek din
hawa nashin hua baal-o-par banate hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close