tere dar par maqam rakhte hain

tere dar par maqam rakhte hain
qasd-e-dar-us-salam rakhte hain

ibtida apni intiha se pare
na-tamami tamam rakhte hain

aasman se kise umid-e-najat
aashiyan zer-e-dam rakhte hain

ek yusuf ki sath ghurbat mein
aise lakhon ghulam rakhte hain

be-baha shai hun main ki wo mujh ko
na-kharida ghulam rakhte hain

sab ki sunte hain karte hain ji ki
kaam se apne kaam rakhte hain

wasl-e-mashuq hai sulaimani
wo hi jam hain jo jam rakhte hain

kuchh teri dosti ki qadr nahin
dushmani khas-o-am rakhte hain

qais o farhad kahte hain wo mujhe
kaise gin gin ke nam rakhte hain

nalon ko rok rok lete hain
dil ko hum tham tham rakhte hain

kabe mein ek dam ki mehmani
mai-kade mein mudam rakhte hain

dil-ruba kahne se wo chaunk uthe
goya hum ittiham rakhte hain

chashm-e-bad-dur aish-e-ahd-e-shabab
subh ham-rang-e-sham rakhte hain

ai 'qalaq' baithiye sar-e-khum-e-mai
aap aali maqam rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close