tere dil mein jahan main baitha hun dukh hai sab ko kahan main baitha hun muntazir jaan-e-jaan main baitha hun aa bhi ja mehrban main baitha hun raunaqen aap se thin mahfil mein kis ne dekha wahan main baitha hun tere jaane se bujh gaya dil bhi ab yahan raegan main baitha hun apne yaron se dushmani kaisi kis liye bad-guman main baitha hun rakh hone ko hai meri hasti ho ke shoala-fishan main baitha hun mujh ko jaldi nahin hai jaane ki tum kaho dastan main baitha hun apne pahlu mein aasman le kar dekh le ai zaman main baitha hun