tere diwane ka hosh mein aana Thik nahin

tere diwane ka hosh mein aana thik nahin
log wagarna samjhenge mai-khana thik nahin

aankh milao khwab se lekin itna yaad rahe
ek patthar ka shishe se takrana thik nahin

sar mein sauda hai saudai dasht ki had mein rah
is haalat mein shahr ki jaanib jaana thik nahin

diwaron ka khidki se yarana hota hai
in ko apne dil ki baat batana thik nahin

is ko halke bhaari ka bhi farq nahin malum
paimane ko thik karo paimana thik nahin

ab to mushkil mushkil mein hi dale rakkhegi
kahta tha nan mushkil mein ghabrana thik nahin

'arshad' aaj wo puri tayyari se aaega
dekho aaj tumhaara bahar jaana thik nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close