tere gawah ne kaisa bayan rakkha hai kaha hai jhut magar sach ka dhyan rakkha hai pata lagao ki wo khud ko kya samajhta hai jahan-bhar ne khuda jis ko man rakkha hai na jaane kab kisi ke waste dhdakna ho so dil ne khud ko abhi tak jawan rakkha hai zaban pe aati hui dil ki baat se dar kar kisi ne munh mein achanak se pan rakkha hai khuda ke pas izafi tha fasla jitna wo us ne tere mere darmiyan rakkha hai jo katta hai use di zaban lambi si jo kat raha hai use be-zaban rakkha hai sunoge baat to tum sab ki dhyan se 'shekhar' karoge tum wahi jo tum ne than rakkha hai