tere ghurur ka huliya bigaD Dalunga

tere ghurur ka huliya bigad dalunga
main aaj tera gareban phad dalunga

tarah tarah ke shagufe jo chhodta hai tu
main dil ka bagh-e-numu hi ujad dalunga

kahan ka sail-e-ajal ta-kinar-gah-e-id
main hun adam mein sabhi ko latad dalunga

bahut ada se tu guzra hai chashma-saron se
ye sun ki rah mein teri main bad dalunga

shaguftagi ki teri yaad jo dilate hain
main aise sare hi paudhe ukhad dalunga

ye tai kiya hai ki dariya-e-mauj-masti ko
sarab-e-dasht-e-tapida mein gad dalunga

tamam naqsh-e-tamanna fareb the so the
main sare naqsh-e-tamanna bigad dalunga

jo rishta hai dil-e-jaan ka hai sar-ba-sar jhuta
sau main to ab dil-o-jaan mein darad dalunga

jhandole baalon ki pur-fitna us se kah dena
main is kamin ko zinda hi gad dalunga

mujhe to ab use danggal mein ganda karna hai
sau main use bure haalon pachhad dalunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close