tere har jaur pe yan shukr-e-khuda hai ai dost ki yahi maslak-e-arbab-e-wafa hai ai dost hum ko is ahd-e-wafa se thin umiden kitni tujh ko jo ahd-e-wafa bhul chuka hai ai dost teri jaanib se na lai koi paigham kabhi meri fariyaad bhi sahra ki sada hai ai dost tere aane ki dobara jo koi aas nahin kitni sunsan mere dil ki faza hai ai dost teri yaadon se bhi taskin-e-tamanna na hui waqt hum par kabhi aisa bhi pada hai ai dost kya ajab hai ki teri ranjish-e-beja ke sabab tere 'shafqat' ko sar-e-tark-e-wafa hai ai dost