tere hathon mein jab ho hath to ham-zor lagta hai

tere hathon mein jab ho hath to ham-zor lagta hai
magar jab sath chalna ho mera kyun zor lagta hai

mohabbat ke mazahib mein suno donon hi kafir hain
tera iman mujhe mera tujhe kamzor lagta hai

asar kuchh hadson ka yun pada meri samaat par
kisi ka dhima lahja bhi mujhe ab shor lagta hai

suno insan jo insaniyat se dur rahta ho
mujhe insan nahin lagta wo aadam-khor lagta hai

hamare do dilon ke darmiyan sarhad hai nafrat ki
wagarna sath amaritsar hi ke lahore lagta hai

ye jis shohrat ko tum izzat ganwa kar mo'atabar samjhe
ki izzat ko kamane mein suno ek daur lagta hai

ghazal sari hi teri thik hai apni jagah lekin
mujhe matlea ka sani bas zara kamzor lagta hai

hunar hai aap ka dil jit lena jhuti baaton se
'razi' sachchi sunata hai tabhi munh-zor lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close