tere hone ki mere dil ko khabar hoti hai ho jahan aap usi or nazar hoti hai aap jab ghar se chalen to ye fazaen mahken in hawaon mein teri koi lahar hoti hai dekh kar ek jhalak un ko mukammal ho din justuju roz yahi sham-o-sahar hoti hai aap hi aap khayalon mein basa karte hain ab kahan koi hamein fikr-e-guzar hoti hai ek ehsas-e-mohabbat se bane hain gulshan zindagi us ke bina gard-e-safar hoti hai kya hai izhaar ye iqrar kahan ka inkar pyar ki apni hi ek rahguzar hoti hai