tere husn-e-nazar ka ye bhi ek eajaz hai saqi

tere husn-e-nazar ka ye bhi ek eajaz hai saqi
ki har mai-kash zamin par aasman parwaz hai saqi

khayal itna rahe bas apne saghar ki pilane mein
tera anjam hai saqi mera aaghaz hai saqi

kahin baham-digar takra na jaen saghar-o-mina
mai-e-sa-josh is dam mail-e-parwaz hai saqi

jabin-e-shauq sajda kar kahan ka pas-e-ruswai
khusha-waqte ki sargarm-e-khiram-e-naz hai saqi

idhar bhi ek nazar o sab ki jaanib dekhne wale
ki ek rind-e-kharabaati nazar-andaz hai saqi

karen tauba to dil bechain agar pi len to ruswai
ajab uljhan mein apni mai-kashi ka raaz hai saqi

sharab-e-arghawani bhi piyun main khud to pani hai
pilae tu jo pani baada-e-shiraaz hai saqi

pas-e-tauba mujhe pine mein aakhir kyon tammul ho
ba-hamdillah dar-e-tauba abhi tak baz hai saqi

wo kyon jaane laga dair-o-haram ki thokaren khane
tere 'afqar' ko tere mai-kade par naz hai saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close