tere kanon mein koi baat batani thi hamein dil mein sakhiyon ke teri aag lagani thi hamein hamein bazar ne thukraya to ghar laute hain ek mohabbat to bahr-e-haal nibhani thi hamein chandni aap ki aankhon mein bhali lagti hai ho ijazat to zara umr bitani thi hamein rang darkar the hum ko teri khamoshi ke ek aawaz ki taswir banani thi hamein hamein cigarette bhi to pini thi nikal kar ghar se apni ungli pe ye duniya bhi nachani thi hamein tazkira is ka nahin ishq bachaya kis ne masala ye tha ki ab jaan bachani thi hamein aaj hum us ke dupatte ki mahak se hain bandhe wahi ladki jo kabhi dushman-e-jaani thi hamein