tere KHayal ka nashsha utarta jata hai

tere khayal ka nashsha utarta jata hai
thahar thahar ke koi pal guzarta jata hai

bikharti hai mere chehre pe jitni pilahat
ai zindagi tera chehra nikharta jata hai

zamin ko bhuk lagi phir kisi tamaddun ki
ye kaun zina-e-ibrat utarta jata hai

bata rahi hai thakan tere zard lahje ki
tere lahu mein koi khwab marta jata hai

jise sajaana tha arman us ki zulfon mein
wo phul us ki talab mein bikharta jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close