tere khwabon mein dhalta ja raha hai mera chehra badalta ja raha hai tujhe to rok rakkha hai kisi ne magar ye din ki dhalta ja raha hai akeli to nahin hun main safar mein wo mere sath chalta ja raha hai dhanak mitti mein ghulti ja rahi hai wo barish mein pighalta ja raha hai