tere kun ka to pentra hai purana nae mo'jize mangta hai zamana chhupa hai jo hum se pata hai na us ko mohabbat mein hai jurm kuchh bhi chhupana bhare tarkashon ka bharam bhi bahut hai nahin lazmi tir sare chalana safar hai padaw aate jate rahenge kisi ek thikane se kya dil lagana ‘ajuba sa kuchh ant mein hoga 'fani' wagarna to kya hi tha sara fasana