tere liye sab chhod ke tera na raha main duniya bhi gai ishq mein tujh se bhi gaya main ek soch mein gum hun teri diwar se lag kar manzil pe pahunch kar bhi thikane na laga main warna koi kab galiyan deta hai kisi ko ye us ka karam hai ki tujhe yaad raha main main tez hawa mein bhi bagule ki tarah tha aaya tha mujhe taish magar jhum utha main is darja mujhe khokhla kar rakkha tha gham ne lagta tha gaya ab ke gaya ab ke gaya main ye dekh mera hath mere khun se tar hai khush ho ki tera madd-e-muqabil na raha main ek dhoke mein duniya ne meri rae talab ki kahte the ki patthar hun magar bol pada main ab taish mein aate hi pakad leta hun panw is ishq se pahle kabhi aisa to na tha main