tere maslak mein kya itna bhi samjhaya nahin jata faqiron aur durweshon se takraya nahin jata nae jumle talasho waqai gar tum muqarrar ho har ek taqrir mein jumlon ko dohraya nahin jata teri furqat mein sare jism ko pathra diya main ne faqat aankhen bachi hain in ko pathraya nahin jata tu apne ohda-e-munsif se munsif istifa de de agar haqdar ka haq tujh se dilwaya nahin jata anal-haq kahne wale aaj bhi maujud hain lekin unhen is daur mein phansi pe latkaya nahin jata hawa ho tez to diwar-o-dar tharrane lagte hain magar is khauf se ghar chhod ke jaya nahin jata bahut se ped aadam-khor-khaslat wale hote hain 'nawaz' har ped ke saye mein sustaya nahin jata