tere nizam ko jab chahega badal dega miyan ye waqt hai bigda to phir kuchal dega jahan bhi jao mohabbat ke bij bo dena kahin to ped ugega kahin to phal dega bura-bhala na kaho is gharib baadal ko khuda ne chaha to ek roz ye bhi jal dega kisi faqir ke pairon mein bandh mat bedi mahal ko chhod kar wo jhonpdi mein chal dega kahan khabar thi kali ko ki bagh ka mali karega us pe sitam aur phir masal dega kabhi na kahna tu 'shad' us se raaz ki baaten yahan sunega wahan ja ke wo ugal dega