tere sanche mein dhalta ja raha hun tujhe bhi kuchh badalta ja raha hun na jaane tujh ko bhula hun ki khud ko bahar-surat sambhalta ja raha hun tabiat hai abhi tiflana meri khilaunon se bahalta ja raha hun haqiqat ko mukammal dekhna hai nazar ke rukh badalta ja raha hun chala hai mujh se aage mera saya so main bhi sath chalta ja raha hun ye chaha tha ki patthar ban ke ji lun so andar se pighalta ja raha hun bahut nazan hun mahrumi pe apni isi par hath milta ja raha hun kisi ka wada-e-farda nahin main tu kyun farda pe talta ja raha hun