teri ai shah-e-khuban ho bala chat wo bosa de ki ho jis ki sada chat munda kar khatt-e-rukh us mah-laqa ne kiya hai aaine ka ghar safa-chat mujhi ko galiyan dete rahe wo magar leta raha bose chata-chat tumhaari zulf ka bandha na chhuta dasa kale ne jis ko wo mua chat musallam murgh-e-dil hai mehman-e-gham kare jald ai khuda wo ye ghiza chat 'waqar' us gul ko ghuncha ne jo dekha to ausaf-e-dahan mein bol utha chat