teri baaton ka ras udasi hai mere daman mein bas udasi hai dusra jism hai ye mitti ka mera pahla qafas udasi hai dhadkanen karwan kharabon ka un ki har ek jaras udasi hai muzmahil hun bade dinon se main mujh ko banhon mein kas udasi hai ibn-e-adam ke gham batate hain kaisi kohna-nafas udasi hai kya dikhata kisi masiha ko main to samjha tha bas udasi hai din khushi ke nikal kar dekhe umr ka har baras udasi hai dil ka 'akhtar' mazar sine mein gham hai gumbad kalas udasi hai