teri chahat hi meri zist ka sarmaya hai

teri chahat hi meri zist ka sarmaya hai
khud ko khoya hai to ab pyar tera paya hai

jis ki khatir meri aankhon ke diye raushan the
aaj aangan mein wo mahtab utar aaya hai

shab-e-furqat mere aaina-e-dil mein hamdam
tu na aaya to tera aks ubhar aaya hai

ek na ek din use ehsas-e-nadamat hoga
be-sabab us ne mere pyar ko thukraya hai

aur kuchh bhi na diya jhuti tasalli ke siwa
mujh ko bachchon ki tarah aap ne bahlaya hai

dasht-e-tanhai mein qaidi ki tarah hun 'zinat'
main jahan hun wahan hamdard na ham-saya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close