teri gali mein ek diwana aksar aaya karta tha diwaron se sar takra ke lutf uthaya karta tha baith ke sahil par hum donon sapne boya karte the ret ke sine par ek bachcha mahl ugaya karta tha aaj bhi is marhum ki yaaden ashkon se paiwasta hain dil dukhiyara tere mere dard bataya karta tha mere panw chat ke mere qad se bhi badh jata tha mere sath tamashe kitne mera saya karta tha nok-e-mizha par kitne qulzum tham ke baitha rahta tha jaane kyun main gahre gahre zakhm chhupaya karta tha ye bhi husul-e-namwari ki kitni pagal koshish thi aab-e-rawan par likh ke apna nam mitaya karta tha