teri har ek baat hai nashtar na chhed pakka phoda hun main ai dilbar na chhed main agar roya to kya hath aaega ashk ke qatre nahin gauhar na chhed munh se kah baithenge jo ho jaega hum sade saudaiyon se dar na chhed tere qadmon se laga hun rahm kar thokaron se o but-e-khud-sar na chhed shisha-e-dil chur ho jaega yar hai kalam-e-sakht bhi patthar na chhed khauf kar hum dil-jalon ki aah se chhedna hum ko nahin behtar na chhed bhad ka chhatta hai dil-e-surakh-dar us ki aahen taish hain dilbar na chhed dast-e-nazuk ko na pahunche koi ranj jhad kanton ka hun main laghar na chhed be-maza baaton se dil ukta gaya chhede se ab dam hai honton par na chhed bu-e-khun aati hai is taqrir se zikr ghairon ka mere munh par na chhed we ki roega hansi achchhi nahin chhed mein kuchh ho na jae shar na chhed teri aahen yar ko na-saz hain saz apna ai dil-e-muztar na chhed hashr barpa kar ke leta hun abhi sone de o fitna-e-mahshar na chhed kah wo mashshata se afi hai wo zulf us ke kate ka nahin mantar na chhed roega dadhi ko dadhen mar kar mohtasib rindon ko munh chadh kar na chhed khush na hoga koi sota chaunk kar 'bahr' tu ghafil ko samjha kar na chhed