teri mahfil mein raushni na hui aaj bhi dur tirgi na hui zindagi se to maut behtar hai aise jine mein zindagi na hui dusri dastan sunate kya pahli rudad khatm hi na hui ek aur zindagi hai maut ke baad yani ye zist aarzi na hui chahiye dosti ko rang-e-wafa aashnai hi dosti na hui hum to insan-dost hain aise koi surat bhi ajnabi na hui hum ne gham bhar liye hain daman mein jab mayassar koi khushi na hui kya 'kalim' intizar-e-subh-e-hasin log kahte hain sham hi na hui