teri mahfil mein sitare koi jugnu laya main wo pagal ki faqat aankh mein aansu laya matla-e-jaan pe kiran aisi numudar hui jaise koi teri aawaz ki khushbu laya mujh ko ek umr hui khak mein tahlil hue tu kahan se meri aankhen mere bazu laya in mein koi nahin lagta hai shanasa chehra 'ram' kis aaina-khana mein mujhe tu laya