teri mahfil mein soz-e-jawedani le ke aaya hun mohabbat ki mata-e-ghair-fani le ke aaya hun main aaya hun fusun-e-jazba-e-dil aazmane ko nigah-e-shauq ki jadu-bayani le ke aaya hun main aaya hun sunane qissa-e-gham sard aahon mein dhalakte aansuon ki be-zabani le ke aaya hun main tohfa le ke aaya hun tamannaon ke phulon ka lutane ko bahaar-e-zindagani le ke aaya hun bayan jis ko kiya karti thin meri na-tawan nazren wahi dard-e-mohabbat ki kahani le ke aaya hun agarche aalam-e-fani ki har ek chiz fani hai magar mein hun ki ishq-e-jawedani le ke aaya hun