teri shikast hai zahir tera zawal atal yahi hai tera muqaddar ki apni aag mein jal khata ki tu ne ki yaron ke qatl ki khwahish saza ki apne janaze ko khud utha kar chal kisi tarah se mita de ye naqsh-ha-e-yaqin kisi tarah se bhi is shahr-e-arzu se nikal sitam ki tut raha hai tilism-e-harf-o-nawa fughan ki bujhne lagi hai khayal ki mashal 'elinapa' bhi nahin aur wo bewafa bhi nahin sunaen shahr mein 'pashi' kise ye taza ghazal