teri talash ne rakha hai dar-ba-dar mujhko

teri talash ne rakha hai dar-ba-dar mujh ko
tere siwa nahin aata koi nazar mujh ko

main dub jata hun jab bhi tere tasawwur mein
jahan ki phir nahin rahti hai kuchh khabar mujh ko

tu ham-qadam tha mera zindagi ki rahon mein
kathin laga hi nahin tha kabhi safar mujh ko

nazar uthe hai jidhar bhi dayar-e-ulfat mein
tera hi jalwa nazar aae hai udhar mujh ko

zaman-shanasi to kuchh haisiyat nahin rakhti
ki apne ghar ki nahin jab koi khabar mujh ko

chamakti dhup mein sab ke liye hai saya-fagan
bashar se badh ke lage mehrban shajar mujh ko

kahin bhi dhunde se milta nahin suragh koi
lage hai bhuli hui dastan bashar mujh ko

ki pattharon ke makan chahta nahin 'anwar'
mohabbaton se bhari ret ka de ghar mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close