tha ajab seminar ka mausam tabsire ho rahe the har fan par shaeri par sabhi ka qaul tha ye gard kitni jami hai darpan par aaj qiston mein dhup utri hai par bade karr-o-farr se utri hai aaj suraj hai dubne ko magar dhup ke naqsh-e-pa hain aangan par aaj baadal phate hain aankhon mein aaj sailab aane wala hai aaj chehre ke koh tutenge aur chatanen girengi daman par kashmakash mein hain tinke chhappar ke khak ho jaen ya thithurte rahen barq hi barq hai fazaon mein os hi os hai nasheman par aap muslim hain aap ke sar par mufti sahab ka qaul utrega kufr aur shirk aur bidat ke fatwe aate nahin barahman par khal jis ne 'nawaz' udhedi hai wo hi darzi hai mere paikar ka wo hi gin kar bataega tum ko kitne paiwand hain mere tan par