tha dam-e-hawas hi kuchh aisa wo lauT ke aana bhul gaya

tha dam-e-hawas hi kuchh aisa wo laut ke aana bhul gaya
jo basti basti phirta tha wo ghar ka rasta bhul gaya

wo lamha kaisa lamha tha jab un se nazar takrai thi
ye manzil kaun si manzil hai main hosh mein aana bhul gaya

ye baat sabhi ke ilm mein hai aur sara zamana shahid hai
wo shakhs zalil-o-khwar hua jo dard ka rishta bhul gaya

wo samne the to kah na saka jab laut gae to yaad aaya
ye bhul gaya wo bhul gaya main jaane kya kya bhul gaya

khush-fahmi kahan le aai hai ab main hun meri tanhai hai
main bhul gaya tha duniya ko mujh ko bhi zamana bhul gaya

auron ke liye marham le kar main galiyon galiyon bhatka hun
kya kahiye magar khud apne hi zakhmon ka mudawa bhul gaya

nairangi-e-alam ne 'raazi' wo talkh haqaeq bakhshe hain
wo apni kahani bhul gae main apna fasana bhul gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close