tha fakhr jis pe mujh ko meri zat ki tarah badla hai wo bhi surat-e-haalat ki tarah fikr-e-maash zehn pe jab se muhit hai hai din ki raushni bhi mujhe raat ki tarah ummid-e-wasl ka hua jo jam chur chur barse hain ashk aankh se barsat ki tarah ab tak hai yaad aap ka andaz-e-guftugu mujh ko surur-o-kaif ke naghmat ki tarah tab zindagi ka lutf hai ya-rab jahan mein un ki nazar ho ain inayat ki tarah ghash kha ke aakhirash wo gira dushman-e-khulus mera janaza dekh ke baraat ki tarah guzri hai apni zindagi tere firaq mein bismil ke karb-dashta lamhat ki tarah ye kya hua ki dil pe guzarne lagi giran ab to khushi ki baat bhi sadmat ki tarah 'sair' ye kya hua hai zamane ki chaal ko milta hai ab khulus bhi saughat ki tarah