tha harf-e-shauq said hua kaun le gaya main jis ko sun sakun wo sada kaun le gaya ek main hi jama-posh tha uryaniyon ke bich mujh se meri aba o qaba kaun le gaya ehsas bikhra bikhra sa haara hua badan chadhti hararton ka nasha kaun le gaya baaton ka husn hai na kahin shokhi-e-bayan shahr-e-nawa se harf o sada kaun le gaya main kab se hun asir sarabon ke jal mein nile samundaron pe ghata kaun le gaya mai-khana chhod ghar ki fazaon mein aa gae hum se mata-e-laghzish-e-pa kaun le gaya main jab na tha to mujh pe bahut qahqahe lage ahbab se sirisht-e-wafa kaun le gaya