tha sharik-e-bazm-e-gham main ham-nawan koi nahin

tha sharik-e-bazm-e-gham main ham-nawan koi nahin
dard-e-dil ko harf karne ka bayan koi nahin

tha khalaon mein bhatakna tanha hi jis ka nasib
tha na chanda sang apne kahkashan koi nahin

rang bhar do yun ki phaile bin dhanak jism-e-ufuq
khwabon ki taswir se badh ke zaban koi nahin

kitne diwaron mein khoe dard-o-gham ke zalzale
aahon se jo dah gaya aisa makan koi nahin

mil ke bas wo pal do pal apne hi ghar ko lauta hai
aae jo basne zamin par aasman koi nahin

dekhta hai har kali ko wo bikharta bar-bar
gul ugana chhodta par baghban koi nahin

khak kar dega ghubar-e-waqt tera ye wajud
jo ruke tere liye wo karwan koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close