thahar jawed ke arman dil-e-muztar nikalte hain khade hain muntazir hum ghar se wo bahar nikalte hain asiran-e-kuhan matub ho ho kar nikalte hain ki zindan se janaze uthte hain bistar nikalte hain nahin malum munh se dil jigar kyunkar nikalte hain hum un se puchh lenge chhod ke jo ghar nikalte hain khabar leta nahin ghurbat mein koi pa-shikasta ki jahan hum hain udhar se qafile aksar nikalte hain kabhi madfun hue the jis jagah par kushta-e-abru abhi tak is zamin se saikdon khanjar nikalte hain har ek mashuq ke daftar mein hum maqtul likhe hain jahan dekho hamare nam ke daftar nikalte hain nahin hai ek harf-e-talkh ki jago mere dil mein magar puchho to shikwon ke abhi daftar nikalte hain jawani se takalluf badh gaya hai mere saqi ka sharab-e-kohna aai hai nae saghar nikalte hain hazaron mufside dar par bapa rahte hain ai qatil tere kuche se lakhon fitna-e-mahshar nikalte hain abhi fursat nahin ai ahl-e-mahshar sab farishton ko thahar jao mere aamal ke daftar nikalte hain jo kar ke zabt sath ashkon ke hain aane nahin deta sada deta hai dil pahlu se hum bahar nikalte hain hua hai sakht mushkil dafn hona tere wahshi ka jahan par qabr khodi jati hai patthar nikalte hain bahaar aai mubarak aashiq-o-mashuq ko milna ki kaliyan phutti hain bulbulon ke par nikalte hain siwa qalb-o-jigar ke mumlikat mein ishq ki kya hai agar dhundho to ye ujde hue do ghar nikalte hain nazar ke khauf se katri gain hain in ki wan palken meri rag rag se yan tute hue nashtar nikalte hain samajh ke jin ko jugnu bandhte ho apne daman mein sharar ye shab ko mere dil se ai dilbar nikalte hain nishan qalb-o-jigar ka aansuon se saf kya paun ki wo to kashtiyan dubi hain sau langar nikalte hain kashida un ke abru hain nigahen tez hoti hain kamanen khinch rahi hain miyan se khanjar nikalte hain jigar dil aate hain aankhon se bahar jama hain aansu ki apne mulk se sultan ma-e-lashkar nikalte hain khayal itna to hai tere gale ka haar hun shayad gul-e-tar bagh se hanste hue bahar nikalte hain jahannam se koi kah de zara hoshiyar ho jae ghazab ka waqt hai qabron se daman tar nikalte hain tawaqqo uth gai aane ki bilkul yun uthaya hai ki aaj un ki gali se hum ma-e-bistar nikalte hain karun kyunkar na tazim us ki main lae jo khat us ka ki aksar is tarah ke log paighambar nikalte hain qafas mein ham-safiran-e-chaman kyun chhode jate ho zara do din thahar jao hamare par nikalte hain jigar-dari ka dawa mit gaya har shakhs kahta hai jo donon hath hum rakkhe hue dil par nikalte hain 'rashid' aaghaz-e-ulfat se kahin anjam behtar hai ki bahr-e-ishq ke dube lab-e-kausar nikalte hain