thahra hai qarib-e-jaan aa kar jaane ka nahin ye dhyan aa kar aaina liya to teri surat hansne lagi darmiyan aa kar tapke na ye ashk chashm-e-gham se jae na ye mehman aa kar palti jo hawa gae dinon ki dohra gai dastan aa kar qadmon se lipat gae hain raste aata hi nahin makan aa kar ja pahunchi zamin us se milne milta na tha aasman aa kar