thak gaya jab jism-o-jaan ke bojh ko Dhote hue

thak gaya jab jism-o-jaan ke bojh ko dhote hue
chal diya wo maut ke aaghosh mein sote hue

mujh ko padhna tha ki pure khwab apne kar sakun
beach aaya muflisi ka waqia rote hue

aankh bhar aati hai jab dekhun wo bachcha rail mein
wo khilaune bechta hai bachpana khote hue

main badi hun ye ana bhi gir padi thi tab meri
jab mera saya dikha mujh se bada hote hue

dost kyon sada kafan odha diya tum ne mujhe
mujh ko jaana tha mere ashaar mein sote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close