thak thak gae hain aashiq darmanda-e-fughan ho yarab kahin wo ghaflat fariyaad-e-be-kasan ho ya qahr hai wo shokhi ya parda hai nazar ka dil mein to us ka ghar ho aur aankh se nihan ho ye shor bhar raha hai fariyaad ka jahan mein jo baat lab pe aai ulti phiri fughan ho kis kis dua ko mangen kya kya hawas nikalen ek jaan kidhar kidhar ho ek dil kahan kahan ho bargasht-agi-e-qismat ye chhed kya nikali jo muddaa-e-dil ho wo muddai-e-jaan ho maqdur tak to apne tujh se nibhaenge hum be-jaan-o-dil hain hazir gar qasd-e-imtihan ho sayyaad main nahin hun gum-karda aashiyan hun ai ham-safiro bolo kis ja ho aur kahan ho ai aah dil se uth kar lab par hai kya tamul ja shorish-e-zamin ho aashob-e-asman ho mit mit ke bhi hamara ek ban rahega saman ujde agar bahaaran aabaadi-e-khizan ho jab baithne pe aae ai zoaf baith rahiye phir kya hai ye takalluf us ka hi aastan ho tu hi rahegi bulbul ya main hi is chaman mein ya tera hi ho qissa ya meri dastan ho mere sukhan mein kya hai kuchh khal-o-khat bayan hai par dil se us ke puchhe jo koi nukta-dan ho mera salam kahna jhuk kar 'qalaq' wahi hai us ki gali mein baitha mauzun sa jo jawan ho