thakan ka bojh badan se utarte hain hum ye sham aur kahin par guzarte hain hum qadam zamin pe rakkhe hamein zamana hua so aasman se khud ko utarte hain hum hamari ruh ka hissa hamare aansu hain inhen bhi shauq-e-aziyyat pe warte hain hum hamari aankh se ninden udane lagta hai jise bhi khwab samajh kar pukarte hain hum hum apne jism ki poshak ko badalte hain naya ab aur koi rup dhaarte hain hum