thake huon ko jo manzil kathin ziyaada hui safar ka azm-e-musammam lagan ziyaada hui udas pedon ne patton ki bhent de di hai khizan mein raunaq-e-sahn-e-chaman ziyaada hui zaban pe habs ki khwahish machal machal uthi hawa chali to gharon mein ghutan ziyaada hui safar ka marhala-e-sakht hi ghanimat tha thahar gae to badan ki thakan ziyaada hui kabhi to sard laga dopahar ka suraj bhi kabhi badan ke liye ek karan ziyaada hui urus-e-zist pe yun bhi nikhaar kya kam tha lahu libas kiya to phaban ziyaada hui talab ke honton pe aasudgi ka lafz kahan? talab wasila-e-dar-o-rasan ziyaada hui 'nasim' kis ko tha tahzib-e-fan ka dhyan yahan hamare ahd mein tashhir-e-fan ziyaada hui