thake jismon thaki ruhon ke sab mani badalte hain visal-e-hijr ke mausam mein uryani badalte hain gharon mein baithe baithe zang lag jata hai jismon ko chalo talab ka thahra hua pani badalte hain badalti dekhi hai duniya faqat aankhon ne hi ab tak chalo ek kaam karte hain ki hairani badalte hain badi mushkil se do misron mein koi rabt banta hai kabhi ula badalte hain kabhi sani badalte hain yaqinan yun nahin hota magar ek bad-gumani hai koi hum se kahe aao pareshani badalte hain tumhaara zikr karte hain dar-o-diwar se aksar badi mushkil se hum is ghar ki virani badalte hain isi mausam mein to lagta hai pahra meri aankhon par yahi mausam to dariyaon ki tughyani badalte hain miyan 'wahid' kisi din balli-maran ho ke aate hain miyan nausha se mil kar ye pashemani badalte hain