thandi hawa chali to ghutan aur badh gai suraj ke dubte hi tapan aur badh gai tark-e-talluqat se dil muztarib to tha tum ghair se mile to jalan aur badh gai dil ko na kuchh malal tha kanton ke zakhm se phulon ke tazkire se chubhan aur badh gai jab rutba-e-buland mila aap ke tufail mathe ke tazkire se chubhan aur badh gai tausif teri sun ke zaban-e-raqib se milne ki tujh se dil mein lagan aur badh gai barson safar ke baad bhi manzil na jab mili himmat gai badan ki thakan aur badh gai phulon ke sath dekh kar us ka bura suluk 'shadan' ke dil mein fikr-e-chaman aur badh gai