the hisar-e-shahr mein to baam-o-dar achchhe lage

the hisar-e-shahr mein to baam-o-dar achchhe lage
aur virane mein jab aae khandar achchhe lage

pattharon ka dher hi goya muqaddar ban gaya
mere aangan ke darakhton mein samar achchhe lage

fikr meri daera-dar-daera batti gai
shauq se pairon ne jo pae bhanwar achchhe lage

kaun aisa din hua maqtal ki rut murjha gai
kab hua aisa hamein kandhon pe sar achchhe lage

apne gird-o-pesh ko dekha magar dil ne kaha
aasman tujh ko bhi kya kya be-hunar achchhe lage

gosha-e-khana mila to soch aawara hui
raste be-samt the lekin safar achchhe lage

muflison ko wo to naqsh-e-be-hunar samjha magar
jab adad ke samne aae sifar achchhe lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close