the khwab ek hamare bhi aur tumhaare bhi par apna khel dikhate rahe sitare bhi ye zindagi hai yahan is tarah hi hota hai sabhi ne bojh se lade hain kuchh utare bhi sawal ye hai ki aapas mein hum milen kaise hamesha sath to chalte hain do kinare bhi kisi ka apna mohabbat mein kuchh nahin hota ki mushtarak hain yahan sud bhi khasare bhi bigad par hai jo tanqid sab baja lekin tumhaare hisse ke jo kaam the sanware bhi bade sukun se dube the dubne wale jo sahilon pe khade the bahut pukare bhi pa jaise rail mein do ajnabi musafir hon safar mein sath rahe yun to hum tumhaare bhi yahi sahi teri marzi samajh na pae hum khuda gawah ki mubham the kuchh ishaare bhi yahi to ek hawala hai mere hone ka yahi giraati hai mujh ko yahi utare bhi isi zamin mein ek din mujhe bhi sona hai isi zamin ki amanat hain mere pyare bhi wo ab jo dekh ke pahchante nahin 'amjad' hai kal ki baat ye lagte the kuchh hamare bhi